Tuesday, May 06, 2008

Ye jo hai zindagi...

Jaate hain junoon me
naya jahaan kamaane
chod aaye jo jahaan yaad na aaye deewane?

purani raahein rahengi
sada jawaan mere man me
besabab poochta hai koi to hum kya sunaaye?

laut ke na aaya
panchchi ek bhi bahar uda
tujhe bhi aazma legi zindagi fikr na kar matwaale

afsos nahi ke choota
bachpan ka aangan hamaara
gum is baat ka.. bachpan ki yaari ne bhi na pehchaana

No comments: