Friday, March 07, 2008

Kashti, Kinara

Itani berukhi se wo muh mod ke chal diye
aankhon me jo tha moti, samandar chala gaya
jhoomati naiyya ko kinara jaise mil gaya tha
toofan thama to jazeera bhi na saamne aaya
Aisi berukhi se bhala hua hai bhala kiska
na kashti na kinara paa saka muqaddar khudka

1 comment:

Anonymous said...

Itni Shiddat se maine tumhy paany ki koshish ki hai, K har Zarhe nay tumse milane ki saazish ki hai