Wednesday, August 22, 2007

Ek purana rishta

zindagi ki dopahar mein kyun chaya hai ye badal gehra
andhere mein dhundate hai jana pehchana koi ek chehra

badal gham ka nahi ye gumnaami ka hai
albeli galiyon mein guzare bachpan ki hairan yaadon ka hai
ajnabi lagati hai wo raatein sabhi sadak par kati
na naam yaad rahe na sadake wo purani

ajeeb se kashish hai hum dono mein ab barqarar
hai rishta ye purana par har mulaqaat karti hai beqarar



Epilogue.

har mulaqaat ka anjaam judai kyon hai poochte hai wo hume
muqammal jahan kaise mile jab taqdeer ho juda juda

taqdeer jodane wala bhi khushmizaz raha hai koi
aise aise namune jode ke hasii mein bhi aati hai rulayi

No comments: